Question asked via email about 'Wanting to settle in USA'' and husband has anger problem. Here is our guidance and given Purusharth with useful links.
Original Question asked via Email by Rohini (India):
Namaste bhai ji,
Om Shanti. Mere apne mother Brahmakumaris ke sath 3 saal se judhe hai.
mujhe pata hai ke apke paas sab apni samasya lekar aate hai. Mein bhi apni samasya lekar aai hun.
Is samasya mein pichle 6 saal se hun. Meri shadi Nov 2012 mein hui. Mein and mere pati ek hi company mein kaam karte hai.Mere pati ka swabhav bahut hi gusse wala or chidh chidha sa hai. Nai shadi mein hi bahut si ladaian hone lag gai. Mere saas sasur bhi humesha interfere karte the and bahut se aise karan the jinki wajah mere or mere pati ki ladai hti thi.
Mere pati ka ye sapna the ke hum US mein settle ho and wahi humari santan ho. Humari company ne 2015 mein humara US visa lagwa dia lekin bheja nahi USA. Jiski wajah se humare beech bahut ladai hui. Phr humne company switch kar li. New company ne bola ke long term visa lagwakar US bhej denge. New company join kie hue bhi 3 saal ho age. Abhi ki company ne bhi bahut latka kar rakha hua hai. Humare apas ka relation iski wajah se kharab ho raha hai. Abhi tak bhi mere pati santan ke lie mante nahi hai.
Abhi wali company ka long term visa processing mein hai. Lekin mere pati ke gusse wale bartav ke karan unki company mein bhi ladai ho jati hai.Wo kisi bhi badi position ke mulazim ke sath bhi ladna shuru kar dete hai.
US mein agar setlle ho jaae to mere pati ko acha mahaul mile and hum hansi khushi apni zindagi bita sake.
Kripa karke meri samasya ka samadhan batae.
Our Email Response (Answer)
To: Rohini and family
Here is our response to your email letter. Aapne apni jeevan kahani vistaar se batayi hai.
Aapne jaankari hi di hai, lekin yaha koi prashna nahi pucha. Pehle samasya hai, phir aapne swayam hi uska nirnay kar liya aur kaha ki: 'US me settle hone se accha mahaul milega'
Agar aapka prashna yeh tha ki kya sresth tarika hai to yeh theek hai. Samasya mahaul ki NAHI HAI. Samasya hai hi nahi. Gussa arthat krodh to ek vikaar hai na, isse manusya ka mann vichalit ho jata hai aur sahi galat me difference nahi kar pata. Buddhi ka kaam hai sahi galat me diference karna.
Buddhi jiski acchi hai, vo successful hote hai - kyuki vo sahi nirney karne me samarth hai (they are capable of taking right steps at right time)
Buddhi ko ekagra kaise rakhe?
Answer:
Iske liye purusharth hai .
1. Pehle to vyarth na dekhe, na sune, na soche. (Hear no evil, see no evil, think no evil). This is the slogan.
2. Swamaan Abhyas: Practice with these commentaries in daily morning (wake up early 4:30 or 5 am): https://www.youtube.com/watch?v=_kYVRgC1PFM&list=PLVTJYOj3fHtHjdxqZhniGRCjWUv6MlRMY&index=2
3. Buddhi me divyata aye: Jabi samay mile, to murli sune: babamurli.com AUR yeh Ruhani geet sune: https://www.brahma-kumaris.com/bk-songs-playlist (full playlist of 124 songs
4. Bhojan banate samay, upar diye Geet sune. Bhojan shanti me banana chahiye. Mann ki shaanti aur powerful stage me reh agar bhojan banate hai, to uska prabhav accha aata hai. Vahi bhojan hum swikaar kare. Vegetarian hi khana chahiye. Jaise devi-devta ko pavitra bhojan dete hai, to hum bhi vani kare.
Yeh 4 steps Shiv baba ki Shrimat hai. Murli se hi hai.
(( Buddhi ki ekagrata se, swamaan abhyaas se, gussa bhi shaanti ho jayega aur Mann powerful bane. Isse jeevan me sab prapti sahaj ho sakti hai ))
Aapko sab helpful resources yeh page ar milenge: https://www.brahma-kumaris.com/resources
Kuch bhi jaankari chahiye?, search kare on www.bkgoogle.com (BK Google)
Accha
In Godly World Service (Ishwariya Sewa)
00