Did Ramayan and Mahabharat really happen? What does it signify according to the Gyan Murli? Who are Pandav and Who are Kauravas? -Question asked by Shreya Jain on 22 AUg 2018. Here is our answer in response.
Original Question (via Email):
Om shaanti baba
Me ek prashn puchna chahti hun ki jo bhi granth hai jese ramayana, mahabharata unme jo bhi likha hai kya veh such me hua tha ki jese raam ne ravan ko mara.. Kaurav aur pandavo ka yudh, ya ye sab kalpnik hai jo dwapur yug me likhe gye... Ye batane ke lie ki kalyug me aesa samay aane wala h jahan raam ko ravan se yudh krna padega.. Kaurav(vikar) aur pandav(atma) ka yudh hoga..
Namaste
Our Answer:
To: Shreya Jain
Om Shanti.
Vichar karne ki baat hai na - kya aisa ki bhi yug me ho sakta hai ? - yeh dekhne aur vichar karne se hi samaj aati hai, ki ek kalpana hai jo dwapar yug ke rishi Ved Vyas ne ki hai . Dusri baat ki jo shastra Mahabharat hai, vo sirf isliye likha gaya ki Shrimat Geeta ko background mil sake.
Ved Vyas ki buddhi me yeh tha ki kaliyug ke end me Paramatma ne aakar ek rath me pravesh kiya tha aur Geta sunayi thi. Tab ke samay yuddh chal raha hai ... kaisa yuddh?? Dharma aur adharma ka.. jo aaj samay hai - koi pandav va kaurav nahi hai, lekin jo Ishwariya Gyaan ke va shrimat anusaar chal rahe hai, vo hi pandav hai. Aur jo asuri va ravan ke prabhav me chal rahe hai, unko kaurav bataya hai.. samjhe?
To Geeta me bahut kuch samajne jaisa hai. Yeh yuddh humari ravan maya se hai (5 vikar). Aur isme humko Ishwar dwara Shrimat mil rahi hai . Yeh shrimat va Gyaan se hum swayam ki weakness samapt karte hai, Yog dwara hume shakti milti hai, jisse Atma pavitra (original) banti jati hai. Isliye Yog humara prathan subject bhi hai. Yog nahi to maya gira deti hai. Yeh sap-sidi (snake and ladder) ka khel bhi hai. To Arjun ko Gyaan mila, aur Arjun ne akele hi sabhi Kaurav (vikar) ko nast kar diya. Samjhe?
Geeta ke 18 adhyay hai. Baad arjun ko liberation mila. Uski buddhi sthir (stable) ho gayi.
Arth (meaning): Gyaan pura mil jane ke baad, hum Karmateet ban jayenge. Buddhi ekagra ho jayegi . Nirantar Yog lag jayega.
To aise hi bahut kuch bate spast is video me ki gayi hai. 'Sacchi Geeta' by BK Usha behn: https://youtu.be/fOrZ9wB2TVg
Dusra yeh videos section bhi visit kare, sabhi videos aapko milenge: https://www.brahma-kumaris.com/single-post/videos-Films-and-Documentaries-1
Anything you need, search on www.bkgoogle.com
Accha
namaste
00