llplStudents (Kumar aur Kumaris) ke liye baba ki shrimat kya hai ? Apne yeh jeevan ko kaise shresth banaya jaye? Jo samarpeet hone hai, va jinhe ghar gruhasth me rehna hai.. sabhi ke liye BapDada ka sandesh..
Question was asked by Pooja on 2 August 2018.
Original Question:
Me ek student Hu . Baba me atam aabhimani banna chahti hu lekin assa Kuch muhjhe feel hi nhi hota .or muhjhe apki sabhi bate ek Naya Marge dikhati h.or me Jo sochti Hu nhi krna wahi or jayda dheyan jata h or sab ulta hota h .Baba ap bahut pyare ho mere sath hamesa rhna mere meethe Baba. Namaste. Om Shanti.
Our Answer (Baba ki Shrimat va Sandesh):
To: All loukik and Aloukik students
Student life is the best life.. abhi tum godly student bhi ho na?
God father humko padhate hai aur shresth bana rahe hai . To ispar attention dena chahiye..
Behad ka baap purani duniya me aakar Nayi duniya ke liye naya Gyaan de rahe hai , so to theek hai - Bhagwaan ko gyaan ka sagar kehte hai, to new knowlege, jo koi manusya nahi kaanta vahi aakar denge na..
Baba pyare lagte hai, to un jaisa sweet bano.
bahut bahut sweet hokar rehna hai, jyada bolna bhi nahi. Kum bolo dheere bolo..aur humesha TRUTH hi bolo.. aap truth baap ki truth atma (child) ho na.
God is truth kehte hai na.. kyu? Kyuki vo aakar sabhi ko truth batate hai. Koi jaante nahi.. abhi antim samay hai , sristi chakra ka, atma aur paramatma ka sab Gyaan abhi hi milega.. phir kab nahi..
Godly student life ka arth hi hai study karna aur karvana. Duniya me to sirf study hi karte hai, karvate nahi. Lekin yaha to aap students bhi Baap samaan teacher bante ho aur sabhi apne bhai behno ko Gyaan dete ho, to master teacher kahenge na? To yeh aapki shresth aur most valuable life hai . last janam bhi hai, kyuki ab ghar vapis jana hai - jo thoda bhi gyaan lete hai, to swarg me ayenge jaroor, lekin King Queen aur Royal family to vahi bane jo Purusharth accha karte hai.. samjha?
Aise mann me gupt vichar karo aur samjho, aage jeevan me kya karna hai .. Baba yeh kehte hai ki ghar gruhasth me rehte pavitra bano - lekin aisa bhi nahi kehte hai duniya me jyada vyavhar rakho.. nahi.. yeh duniya dukh ki hai, isliye apni buddhi abhi sukh ki duniya (Satyug) me lagani hai .
Satyug: https://www.brahma-kumaris.com/downloads
History: https://www.brahma-kumaris.com/history
Accha
Namaste
00