Team leader ko bahut responsibilities rehti hai. Kaise hum iske beech rehte apne me good leadership qualities emerge kare? Jaise ki shanti se apni aat kehna va samjhana, dusro ko respect dena, pyaar se kaam lena, vagera.. In this response we have explained this (Hinglish)
Original Email Received
Maine khudme aapki bajeh se acche changes kiye hai. Or bhi karna chahti hu. Ek video apka dekha tha. Agar koi apke sath bura kare to bhi uske sath accha behave karo, blessings do. Basically yeh mere liye possible nahi ho raha Hai.
Lekin muze life me logo ki madad karni hai...AUR as a leader mai yeh thought kaise follow Karu??
Jab bhi koi leadership karta hai to bahot sare logo ka netrutva kar raha hota hai. Kyunki leadership aati hai to use hard words use karne padte hai. To aise me Kya karna chahiye??
Ajki duniya me as a leader ye kaise implement Karna hai. Kyunki muze aisa lagta hai agar leader is guidelines ko follow karega to log uski nahi sunenge..
Ya fir yeh follow Karna aaj possible nahi lagta mujhe.
Our Email Response
To: Everyone reading this
From: Prajapita BrahmaKumari Ishwariya VishwaVidhyalay (Godly University) Dear divine Sister Good morning Aapne self management wa leadership quality par savaal pucha hai. Aap pehle se ''Awakening'' TV program se jude hue ho yeh accha hai. Yeh sach hai ki as a leader humme controlling power honi chahiye. Arthat hume sabhi ko discipline me rakhna hota hai. Kisi ko yeh accha nahi lagta ki koi aur unko control kare... isliye ek accha leader sabhi ko santust rakh sakta hai - iske liye chahiye nirmaan (egoless) bhavna se karma karne ki prerna dena. 1. Pehle aap karma karke dikhao aur phir unko bhi kaho - Dekho aise karna hai. 2. Sabhi ko saath leke chalo 3. Sabhi me visheshta (vitues) hi dekho 4. Sabhi ko apne apne virtue ke aadhar par kaam do 5. Koi galati kare, to use akele me samjhao aur guidance deni chahiye ki aage repeat na ho Yeh points follow karne chahiye. Visit -> http://www.bkdrluhar.com/00-htm/Leadership%202.0.htm (Leadership) Awakening audio episodes - https://www.brahma-kumaris.com/awakening-bk-audio-episodes Blog for guidance (Q and A): https://bkarticles.blog namaste On Godly Service 00