Centre pe surrender (samarpit) hokar Sewa karu, ya phir Ghar parivar me rehte Gyan me chalu? Kya karna behtar hai? - Shiv baba ki Shrimat.
Original Email Received
Om shanti
Mera sharir ka naam reshma, 32 yrs old, 13 years se gyan may hu. At present pvt company may as an accountant job kar rahi hu. Mujhe samarpit jeevan jina pasand tha lekin apne samskaron ke kami kamjori ke karan Dar lagtha tha mujhe se nahi hoga. Sochthiti job or seva dono karungi. Baba ne Centre ke teacher behenon ke dwara mujhe Seva karne ka chance diya kabhi classes karne ka karmana Seva... ab main baba se or close hona chahti hu centre pe rahu lekin confusion hai ki loukik family may mom housewife hai gyan may hai, Dad sweets ka shop chalate hai gyan may nahi hai sahayogi hai, choti behen married hai, financially ithni strong nahi hai lekin koi problem bhi nahi hai. Thodi confusion hai ki main job karte Seva karu or parents ke saath rahu ya samarpit ho javu.
Our Email Response
From: Prajapita Brahma Kumari Iswariya Vishwa Vidhyalay (Godly Spiritual University)
To: Reshma
Good morning
Aapka patra mila. Yeh aapke liye Shiv baba ki aur se Shrimat.
Samarpeet Jeevan arthat vo jeevan jisme har ek kadam Shrimat anusar liya jaye aur usme apna aur dusro ka kalyaan ho. Aise kalyaankari jeevan ko Samarpeet jeevan kahenge. Yeh antim janam me jiske parivar me janam hua hai, unse humara Karma ka account hai. Usko pehle samaapt karna hai - tabhi centre ke liye socho.
Baap ki shrimat to yahi hai ki Ghar Gruhasth me rehta, apni responsibilities nibhalte - din me ghadi ghadi mujhe yaad karo. Karma yogi bano. Buddhi ko mere swaroop par Ekagra karo. Baap ki Yog shakti se vikarma vinash hote hai aur isi Yogyukt sthiti se service bhi automatic hoti hai - vayumandal pavitra banta hai.
To kaha Gruhasth me rehna hai. Jab samay hoga, to baba swayam aapko ishara karega.
Baba ne koi bhi samasya ka samadhan karne liye ek Golden key di hai - 'Ekagrata' -> http://bit.ly/EkagrataYog (watch this Avyakt Murli clip)
AND
(Audio) Shrimat on family life (Hindi): https://drive.google.com/file/d/1O1emkO2aZrA5YVe4VxTxiOLq91P44nBT/view
Kuch bhi chahiye, ja bhi chahiye - to BK Google par search kare.
BK Google - www.bkgoogle.com (Search engine for BKs)
AND Sitemap -> https://www.brahma-kumaris.com/sitemap
Save the links
namaste
In Godly World Service
00